Ek Aashiq Aur Uski Mashooqa Ki Yaadein.
(एक आशिक और उसकी महबूबा की यादें).
1.
Beete hue lamhe bahut yaad aate hain…
Kuch lamhe hansa jaate hain,
To kuch aankhon ko rula jaate hain.
Aur dil bas ek hi baat kehta hai—
Kaash woh lamhe kabhi aaye hi na hote.
HINDI
बीते हुए लम्हे बहुत याद आते हैं…
कुछ लम्हे हंसा जाते हैं,
तो कुछ आँखों को रुला जाते हैं।
और दिल बस यही कहता है—
काश वो लम्हे कभी आए ही न होते।
2.
Zain-e-isqh, yaadon ki baat humse mat karo…
Log apni mashooqa ko yaad karke rote hain,
Aur hum unke saath guzaare hue lamhon ko yaad karke.
Hindi:
ज़ैन-ए-इश्क़, यादों की बात हमसे मत करो…
लोग अपनी महबूबा को याद करके रोते हैं,
और हम उनके साथ गुज़ारे हुए लम्हों को याद करके।
3.
Na jaane aaj woh kahaan hongi,
Kis jagah hongi…
Lekin jab bhi unki yaad aati hai,
To aisa lagta hai jaise
Aaj bhi woh yahin kahin maujood ho.
Hindi:
न जाने आज वो कहाँ होंगी,
किस जगह होंगी…
लेकिन जब भी उनकी याद आती है,
तो ऐसा लगता है
जैसे आज भी वो यहीं कहीं मौजूद हों।
4:
Kuch lamhe aise bhi hote hain
Jo hamesha rula jaate hain…
Jab bhi un galiyon se guzarta hoon,
Unki surat aankhon ke saamne aa jaati hai.
Hindi
कुछ लम्हे ऐसे भी होते हैं
जो हमेशा रुला जाते हैं…
जब भी उन गलियों से गुज़रता हूँ,
उनकी सूरत आँखों के सामने आ जाती है।
5:
Mujhe rab se bas ek hi umeed hai—
Bhale hi woh mere muqaddar mein na ho,
Lekin jis haal mein bhi ho, hamesha khush rahe.
Kyunki maine unse mohabbat
Unki soorat se nahi,
Unki rooh se ki thi.
Hindi:
मुझे रब से बस एक ही उम्मीद है—
भले ही वो मेरे मुक़द्दर में न हों,
लेकिन जिस हाल में भी हों, हमेशा खुश रहें।
क्योंकि मैंने उनसे मोहब्बत
उनकी सूरत से नहीं,
उनकी रूह से की थी।
6:
Na woh dhokebaaz thi,
Na hum bewafa the…
Bichhadna to shayad
Khuda ko hi manzoor tha.
Hindi:
न वो धोखेबाज़ थी,
न हम बेवफ़ा थे…
बिछड़ना तो शायद
ख़ुदा को ही मंज़ूर था।
- Written with love by Zainul Aabedin
- Titile: dil-se-likha
- Thank you for reading.
Comments
Post a Comment